Aaya tha ghar sanvarane...

Aaya tha ghar sanvarne ehsaan kar gaya,
Barbaadiyon ka aur bhi sama kar gaya.

Ab tak rahi uss ki yaad meri zindgai ke saath ,
Do-char pal ki mujh se jo pahechan kar gaya.

Aankhon ne jis ke shouq mei raatain sajaai thi,
khuwabon ke anjuman wohi viraan kar gaya.

Jhonkaa naseem-e-subha ka aaya to zaroor tha magar,
Gulashan ki har kali ko pareshan kar gaya.