Apnay chehray say...

Apnay chehray say jo zahir hai, chupain kaisay,
Teri marzi kay mutaabik nazar aaain kaisay.

Ghar sajanay ka tassavur to bahut baad ka hai,
Pehlay yeh tay ho ki is gahr ko bachain kaisay.

Kah-kahan aankh ki bartav badal deta hai,
Hasnay vaalay tujhay aansoon nazar aaain kaisay.

Koi apni hi nazar say to hamay dekhayga,
Ek qatray ko samundar nazar aaain kaisay.

Apnay chehray say jo zahir hai, chupain kaisay,
Teri marzi kay mutaabik nazar aaain kaisay.