Do Line Ke Sher




  • Yeh pyar murauvat yeh ekhlaas wafadari
    Lafjon ki tijarat hai lafjon ki kharidari.

  • Aisa lagta hai har imtehan ke liya
    Zindagi ko hamara pata de diya hai.

  • Yeh kya ki chand kadam chal ke laut jayenge
    Hamare saath jo chaliye to umra bhar chaliye.

  • Hum jisse apne pyar ka tohfa de ne aaye the
    Ushi ke hath ke pathar humari talash mei the.

  • Bhule hain rafta rafta unhain muddaton mei hum
    Qistoon mei khudkushi ka maza hum say pucheeye.

  • Aaa Sikander-E-Hunar Aaazmayain
    Tu Teer Aaazmaaa, Hum Jigar Aaazmayain.

  • Tum badle, jahan badla, badli nazar zamane ki
    Yeh Aansu char baqi rah gaye, nishani dil lagane ki.

  • In Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Ghum Ke Railay Hain
    Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain.

  • Zaruri To Nahi, Ke Batayain Labon Se Dastaan Apni
    Zabaan Ek Aur Bhi Hoti Hai Izhaar Ki.

  • Phool Khilna Chahta Hai, Kali Khilne Nahin Deti
    Dil Milnaa Chahtaa Hai, Kismat Milne Nahin Deti.

  • Maana ke aapke nazaron main kuch nahin hain hum
    Magar unse jakar puchiye jinhein hasil nahi hain hum.

  • Isse Nadaani Kaho Ya Pyar, Chahe Ishq Ka Parwaaz
    Yeh Diwangi Sahi, Par Sirf Dillagi Nahi.

  • Jinki yaad hai dil mei nishaani ki tarah
    Woh to bhool gaye hume kahani ki tarah.

  • Dil mein tumharey pyaar key jaltey to hain chirag
    Yeh baat aur hain ki inn ki roshni tum par ayee nahi.

  • Na tum bewafa ho, na hum bewafa thay
    Magar kya karain apni rahain juda hain.

  • Yu to pyaar karnaywaale tumhe kam na milenge
    Mil jaayenge hum jaise lekin hum na milenge.

  • Zameen per naam likh kar mitaya na karon
    Ankeh sach bolti hai pyaar chupaya na karon.

  • Ek kasak dil ki dil me dabi reh gayi
    Jindagi mei tumhari kami reh gayi.

  • Na chooh sake ga koi mere daman-e-mohabbat ko
    Aye kash tumne itna to aitbaar kiya hota.

  • Yeh kya hua aaj bhari mehfil khali khali si lagti hain
    Saji hui basti hain phir bhi kuch kami si lagti hain.

  • Aansu aankho mei abhi kuch to bacha kar rakhne de
    Teri bewafai ki nishani kuch to bacha kar rakhne de.

  • Hum ba-wafa the issliye nazron se gira diya,
    Shayad tumhe talash kisi aur ki thi issliye hume bhula kiya.

  • Nazrain neechi hai aur sar jhukaye baithe hai
    Arey ye wohi to hai jo hamara dil churaye baithe hai.

  • Chhup chhup ke tumhara deedaar karte hai
    Dosti ki aad mein tum se pyaar karte hai.

  • Logg Kehte Hai Wah! Kya Sabnam Chai Hai
    Par Unhe Kya Pata Ki Chand Ne Roo Kar Raat Bitaiye Hai.

  • Sunte hai ki har cheez mil jaati hai dua se
    Ek din tumhe maangke dekhenge khuda se.

  • Kaun kehta hai ki hum tumhare hai
    Hum tho unke hai jo hamare hai.

  • Jab dil hi nahi to dil ke saharo ka kya karon
    Jab pas tu hi nahi to inn baharo ka kya karon.

  • Gum hi gum tha kuch dino se zindigi mai
    Aab app ayae hai to khushiya bhi guzar jathi hai yahai se.

  • Mohabbat mein dhoka dekha hai
    Mohabbat karne walon ko hum ne rotey dekha hai.

  • Ruk jaain agar aansoo to ban jaate hain nasoor
    Accha hain ke do-char nikal aate hain her-rooz.

  • Teri dosti ne mera dil jala diya
    Sharbath pilane ki jagah zaher pila diya.

  • Chand se pyaari Chandni, Chandni se pyari Raat,
    Raat se pyaari Zindgi, Zindgi se pyare Aap.

  • Khuda kisi ko kisi pe fida na karey
    Aur agar karey to khayamat tak juda na karey.

  • Zindagi mei jab tum na the tab tanhai ka ehsas nahi tha
    Aaj kal mehfil mei bhi tanhai ka alam hota hain.

  • Hum hi mei na thi kuch baat aisi ki yaad tumhe aa sakein
    Tum ne hummei bhula diya par hum to tumhe bhula na sakein.

  • Mohabbat mein jo saadiq hai woh kab faryaad karte hai
    ZubaaN pe mehr-e-khamoshi hai aur dil mein yaad karte hai.

  • Ahsaas to hai Hame Judaee Main Jeene ka
    Magar mazaa aata nahin Sabar ke ghoont Peene ka.

  • Gul se honsla sikho gam mei muskurane ka
    Kaid hain woh katon mei phir bhi muskurate hain.

  • Chalte hain to lagta hain ki sadiyon ka saath hain
    Aur bichhadte hi do din mei bhula detein hain.

  • Le chala jaan meri, ruth kar jana tera
    Aese jaane se to behatar tha na aana tera.

  • Hum bhi dariya hain, hummei apna hunar maloom hain
    Jis tarah bhi chal padenge raasta ho jayenge.

  • Hum to dushman ko bhi shayishta saja dete hain
    Var nahi karte magar nazaron se gira dete hain.

  • Pyar karo kisi se to yeh janna zaroori hain
    Ki rahega woh wafadar hamesha ya usse bhi koi majboori hain.

  • Woh daur se guzree hai dastaan-e-mohabbat hamari,
    Lamho ne khataa kee thi, sadiyon ne saza paayi.

  • Meri bezubaan aankhon se, gire hai chend katre,
    Woh samajh sake tho aansoon, na samajh sake tho paani.

  • Judai ka pata hota agar pyaar se pehle,
    To maut ki dua mangte hum deedar se pehle.

  • Unhone waada to kiya tha khwab me milneka
    Ye hamari badkismati ki hame nind hi nahi aai .

  • Unhone humme bhule se yaad na kiya
    Aur humne unki yaad mei sab kuch bhula diya .

  • Umr daraaz maang kar laye the chaar din,
    Do kat gaye aarzoo mein, do intzaar mei guzar gaye.

  • Gire hue patton ko utane wala kohi nahe
    Pyar karte hai sabhi nibhane wala kohi nahee.

  • Ahae baarish itnaa na baras ke woo aah na sakein
    Unke aane ke baad itnaa baras ki woh jaa na sakein.

  • Dil mein basi tumhari yaadein jab gazal ban jaati hai
    Aankhon ke aansoo tab syaahee ban jaate hai.

  • Tumse mila tha pyar, kuchh achhe naseeb they,
    Hum unn dinon ameer they, jab tum kareeb they.

  • Agaaze-Mohabbat hai, ghabrata hai kya
    Anjaame-Zindagi pe, khatam ho hi jayega.

  • Raaste yaad nahi, raahnuma yaad nahi,
    Kuch mujhe ab teri galiyon ke siva yaad nahi.

  • Dil hai to dhadakane ka bahaanaa koi dhuunde
    Patthar ki tarah behis-o-bejaan saa kyun hai.

  • Ham ne dil de bhii diyaa ahd-e-vafaa le bhii liyaa
    Aap ab shauq se de den jo sazaa deni hain.

  • Log kehte hain ki yeh pyar kuch cheez ajeeb hai
    Yahan phoolon ki chot pe kaanton ka marham lagta hai.

  • Aane ke waqt tum kahi ke kahi rahein
    Ab aane ka kya fayada jab hum hi nahi rahein.

  • Tujh ko pooja teree dehleez peh sajda na kiya
    Woh mera ishq tha, yeh meri khuddari hain.

  • Itnee khwahish na ker meri aaseri ke liye
    Tu kahin mera giraftaar na samjha jaaye.

  • Rukhsat hua to aankh mila kar nahi gaya,
    Woh kyun gaya hain yeh bhi bata kar nahi gaya.

  • Tum to shayar ho Qateel ho aur woh ek aam sa shakhs
    Uss ne chaha bhi tumhain aur jataya bhi nahi.

  • Hans hans ke zindagi ki dua de gaya mujhe
    Woh shakhs bhi ajeeb saza de gaya mujhe.

  • Uthti nahi hain aankhein kisi aur ki taraf
    Pa-band kar gayee hain youn kisi ki nazar mujhe.

  • Khowab ho, Dil ho, Sitara ho, Koi Waada ho
    Tutne wali kisi shay pe bharosa na karna.

  • Kehte hain haath mei taqdeer hua karti hain
    Kal younhi haathon pe ek naam likha der talak.

  • Tumhare bas mei ho agar to bhul jao hume
    Humari baat aur hain, humne to mohabbat ki hain.

  • Waise to zinda dil hain magar phir bhi
    Ek dard hota hain humari hansi ke saath.

  • Kuch woh bhi na tha waqif-e-adaab-e-mohabbat
    Kuch mujh ko bhi raas na aa saka pyar ka mausam.

  • Dhalne lagi thee raat ke tum yaad aa gaye
    Uss ke baad raat baree der tak rahi.

  • Kuch tu hi mere qurb ka mafhoom samjh le
    Hansta hua chehra to zamane ke liye hain.

  • Kasam na khao taghaful say baaz aane ki
    Ki is dil mei ab nahi taakat sataye jaane ki.

  • Ab dil ke afsaanon ko bayaan karte hain aansoo
    Ab hum say tere ghum ki hifazat nahi hoti.

  • Kal raat barasti raheen sawan ki ghataain
    Aur hum bhi teri yaad mei dil khol kar royein.

  • Pichle baras tha khouf ki kahin tujhe kho na doun,
    Ab ke baras yeh dua hain ki tera saamna na ho.

  • Yeh wafa ki sakht rahain, yeh tumhara paaye nazuk
    Na lo intaqam mujh say youn mere saath saath chal kar.

  • Ghairon ki be-rukhi ka gila kab kiya tha humne
    Aapnon ki shafqaton ke sataye huye hain hum.

  • Kuch purshish-e-yaraan ke bhi andaaz ajeeb they
    Kuch hum ko bhi tere zakhum dikhane na aaye.

  • Apna to kisi tarah guz jaye ga yeh din
    Tum jis say milo aaj usse Eid-Mubarak.

  • Dil na umeed to nahi, nakam hi to hai,
    Lambi hai gam ki shyam magar, shyam hi to hai.

  • Zakhm kuch aaise hue ki phulo per soya na gaya,
    Dil ke tukadhe hue hazar par aakho se roya na gaya.

  • Aab iss hadh pe laya hai intazaar mujhe,
    Woh aa bhi jaye lekin aaya na yaki muzhe.

  • Ek diya jo sare rah jalane niklay,
    Aandhiya ban kar kai log buzane nikle.

  • Na jane ashk inn aakhon mei kyon hai aaj aaye,
    Ek muddat si hui hain tujhe bhulaye.

  • Jo hamse tum na mile to kuch hum mar na gaye,
    Afsosh hain ki Kahne ko bat rehe gayi aur din gujar gaye.

  • Dil woh nagar nahi ki phir aabad ho sake,
    Pachtawoge suno ye aashiyana ujad kar.

  • Koi aahat koi aawaz koi chah nahi,
    Dil ki galiya badi sunsan hai aap aaye kyon nahi.

  • Pahle to khushi mei bhi nikal aate the aasu,
    Aab ranj bhi hota hai to rona nahi aata.

  • Kata samaz kar hamse n daman bacha E-ye,
    Gujri hui bahar ki haseen yadgar hu.

  • Tum pucho aur hum na bata ye aise to halat nahi,
    Bas zara sa dil tuta hai aur koi bat nahi.

  • Socha bhi na tha, aise lamhon ka saamna hoga,
    Manzil to samne hogi, par Raasta na hoga.

  • Hui hum se ye nadani, Kay teri mehfil mein aa baithe,
    Ho kay zameen ki khakh, Aasman se dil laga baithe.

  • Aaj kisii ne baaton baaton mein, jab un kaa naam liyaa,
    Dil ne jaise Thokar khai, dard ne badh kar thaam liyaa.

  • Woh nahi milta mujhe iss kaa gilaa apni jagah,
    Uss ke mere daramiyaan ka fasalaa apni jagah.

  • Aise hijr ke mausam pag pag aate hain,
    Tere alaavaa yaad hamein sab aate hai.

  • Meri daastaan-e-hasarat woh sunaa sunaa ke roye,
    Mere aazamaane vaale mujhe aazamaa ke roye.