Raaz ki baatain...
Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyon rusvaion ka silsila reh gaya.
Umar bhar meray saath reh kar woh na samjha dil ki baat,
Do dilon kay darmiyan ik faasla reh gaya.
Apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood,
Khatam ki ranjish magar gila reh gaya.
Main samjhta tha khushi degi mujhay `Sabir' fareb,
Isliyey mainay gamon say raabta reh gaya.
Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyon rusvaion ka silsila reh gaya.