Aapni aag ko...
Apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai,
Pathar beech aaiana rakhna kitna mushkil hai.
Kitna aasaan hai tasveer banana oron ki,
Khud ko pas-e-aaiana rakhna kitna mushkil hai.
Tumnay mandir dekhay hongay, yeh mera aangan hai,
Ek diya bhi jalta rakhna kitna mushkil hai.
Chulu mein ho dard ka darya, dhyaan mein uskay honth,
Yun bhi khud ko pyassa rakhna kitna mushkil hai.
Apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai,
Pathar beech aaiana rakhna kitna mushkil hai.