"Aalam-e-Furqat"

Yeh kis mod pe hai zindagi mujhe layi
Bikhra sa hai vajood, ke hai jaan pe ban aayi

Anjaam-e-ishq sunkar haal-e-dil se darti thi
Phir vaar ik teer-e-nazar ka laga jigar par
Ki aashiqui vohi mere saath ho gayi

Tez dhadkan, kaapte hoth, hai jism-o-jaan pighalte
Mohabbat bhari baahon me jab leta hai mujhe koi

Be-noor hai aakhein be-chain hai raatein judaai me
Mujhe hai khabar kis kadar hoon mai raatbhar soyi

Pal aalam-e-furqat ke gine jaate hai aise
Vaqt se pehle jaise ho kayaamat aayi

Tanhaai me bhi karti hoon vafaa mai apne sanam se
Aankh kabhi bhar aaye to chhupkar hoon royi

Uske dum se hi mai mukammal hoon
Saara jahaan hai uska, usiki hai khudaai...