"Hakeeqat-e-zindagi"

Aapse mil kar sochti reh gayi
Zindagi me ab na koi kami reh gayi

Chaaha tha humsafar ik umrabhar ke liye
Saath aapka jo mila, manzil khudhi mil gayi

Yoon dilki gehraaion tak aapka utarjaana
Ki aapko paakar aap hi ki ho gayi

Log milkar hote hai judaa aksar yahaan
Aapka pyaar ab ek anmol nishaani ho gayi

Chale the pyaar se jaana hai pyaar tak
Kood ke dariya me aanaa hai paar tak
Sahil pe hum miley ya miley judaai vaqt ki baat ho gayi...